News

Kar Chale Hum Fida Lyrics | Mohammad Rafi | Madan Mohan 

Kar Chale Hum Fida Lyrics — The song Kar Chale Hum Fida Jaan-O-Tan Saathiyon is from the album Haqeeqat (1964) and was sung by Mohammad Rafi while the Kar Chale Hum Fida Lyrics were penned by Kaifi Azmi. 

Kar Chale Hum Fida Lyrics
Kar Chale Hum Fida Lyrics

Song Details

Song — Kar Chale Hum Fida Jaan-O-Tan Saathiyon
 
Album — Haqeeqat (1964) 
 
Singer — Mohammad Rafi 
 
Musician — Madan Mohan 
 
Lyricist — Kaifi Azmi 
 

Kar Chale Hum Fida Lyrics

Saans thamti gayi, nabz jamti gayi

Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya

Kat gaye sar hamare to kuchh gham nahin

Sar himalay ka humne na jhukne diya

Marte marte raha baankpan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Zinda rehne ke mausam bahut hain magar

Jaan dene ki rut roz aati nahin

Husn aur ishq dono ko ruswa kare

Woh jawani jo khoon mein nahaati nahin

Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Raah kurbaniyon ki na veeran ho

Tum sajaate hi rehna naye kaafile

Fateh ka jashn is jashn ke baad hai

Zindagi maut se mil rahi hai gale

Baandh lo apne sar se kafan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Khench do apne khoon se zameen par lakeer

Is taraf aane paaye na Ravan koyi

Tod do hath agar hath uthne lage

Chhoone paaye na Sita ka daaman koi

Raam bhi tum tumhi Lakshman saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Ab tumhare hawaale watan saathiyon

Also Read; Raja Shivchatrapati Title Song Lyrics In Hindi and English

Utkarsh Kakar

He's the General Manager and Sr. SEO Executive at QuirkyByte. A Tech and gadget enthusiast who loves experimenting with things and is always in a hunt for learning something new, something creative!
Back to top button